Log kehte hai sapne dekhne se,
kya hota hai?

Par kya ye sach nahi ke sapon se hi,
sacchai ki raah milti hai
Na dekhe koi agar sapne,
to kaise pahunche wo manzil par apne?
Lo yaron maine bhi kai sapne hain dekhe,
apno ne kha dhokha hai ye badal hai sukhe.
Pooch lo inse bale hi kita ki, kya barsoge?
dekhna kuch nahi hoga, bus aage tarsoge.
Par mujhe yakeen hai ye sukhi hui ghataein,
bhi barkha layengi.
Ashambhav lagne wali batein bhi,
"satya ghatanayein" kehlayengi......
- Billo
Wow Billo! this poem shows a completely different side of yours. Unexpected in a better way! keep it up :)
ReplyDeleteThanks! akansha. I liked that you liked my different side.
ReplyDelete